RSSAll Entries in the "Fehmida Riaz" Category

Apane dost ke liye

apane dost ke liye
ye zard mausam ke Khushk patte
havaa jinhen le ga_ii uDaakar
agar kabhii in ko dekh paao
to soch lenaa
ki in men har barg ke namuu men
ziyaaN gayaa arq shaaKh-e-gul kaa
kabhii ye sar_sabz konpalen the
kabhii ye shaadaab bhii rahe hain
khule huye honTh kii tarah narm aur shaguftaa
bahut dinon tak
ye sabz patte
havaa ke relon men bebasii [...]

urdu poetry of Fehmida Riaz